Pyaj ka Stock 2 lakh ton se badh Gaya
Dosto Tamatar Ke baad ab Pyaj ki bari. Tamatar ka price 200 rs. kilo tak jaa chuka tha lekin ab Pyaj bhi 100 rs. kilo tak jayenge. 1400 ton Payj Bajar mein bheja gaya hai aur Ab Pyaj NCCF ke tehat bika jayega.
Mumbai Se khabar aa rahi hai ki Kendra sarkar ne sunday ko Pyaj ka buffer stock 3lakh ton se 5 lakh ton tak badha diya hai jisse kuch mahino ke liye aapko pyaj 25 rs. kilo ke bhav se milenge. Jaise ki NCCF ke marfat ye pyaj ab becha jayega aur abhi market mein 1400 ton ka pyaj ka stock jama hua hai.
Tamatar ke baad ab Pyaj ki kimat aam logo ko rulane wali hai, sarkar ne payj ki niryat par 40% shulk lagaya hai jisse pyaj ki kimat shayad aasman ko chu sakti hai.Pyaj ko gharelu uplabdhiya ke madhyam se kendra sarkar ne pahili baar pyaj par niryat shulk lagaya hai. Pyaj ki kimato par teji nazar aa rahi hai, New delhi mein payj ki kimat 37rs. kilo ho gayi hai, shayad aur bhi bhad sakta ha bhav.
Vittiy Matralay ne seema shulk adhisuchna ke jariye Payj par 21 december 2023 tak niryat shulk lagane ka faisala kiya hai. Lekin samjhne wali baat hai ki bharat pyaj ke utpadan mein pahilie number par aati hai ya phir aisa keh sakte hai ki pyaj ka utpadan sabse jyada bharat mein hi hota hai, tho ye sarkar niryat shulk kyu laga rahi hai ?
Jankaro ke hisab se ye bhav price abhi aur badhega. Kyu ki 1 april se aug tak 9.7 lakh ton pyaj niryat ho chuka hai. August ke mahine mein hi aap iska bhav badhte hue dekhenge lekin september ke akhari din tak pyaj ka bhav 15 - 20 rs aur badh jayengae.
Nashik se khabar hai ki Pyaj ke niryat mein 40% seema shulk badhne se Nahik me kal Pyaj ki sari bajarein band rahengi. ye ek andolan hai sarkar ke khilaf. Nahik ek badi bajar hai Pyaj ke liye aur Nashik kar ne Bajar hi band kiya lekin kyu ? Jab 40% niryat shulk liya jayega tab international markets matlab China, Pakistan, Egypt etc. in desho mein apne Bharat se pyaj niryat hota hai. Agar Niryat shulk hi badha diya to pyaj jyada bhav mein bechna padhega aur baki ki ke desh phir kam kimat mein ya phir kam qty mein aayat karenge isse apne desh mein niryat kam ho jayegi aur jo kuch stock bacha hai wo hamein apne hi desh mein bechna padhega.
Pyaj ke liye bharat bahut bada niryat desh hai. Jaise ki Chin, Pakistan & Egypt. yaha par Pyaj bharat se niryat hota hai. In desho mein bhi Pyaj ki demand bahut hai jaise ki Pakistan mein Biryani, Bangladesh mein Fish curry aur Malaysia mein belcun dishes mein pyaj ka use hota hai. In desho ke alwa bhi bahut sare desho mein Pyaj ka niryat hota hai Bharat se.
Nagpur Mein Pyaj ki Niryat shulk ko leke chintajanak mahol hai. waha per pyaj 7-8 rs. kam mein bech rahe hai jisse niryat na karna padhe aur 40% niryat shulk na dena padhe. In sab mein samanya kisan fasa jaa raha, kyu ki pyaj ka bhav badha rahe hai lekin log abhi kharidenge nahi aur niryat karenge tho 40% tax dena hoga. aur kuch bhi na kare tho Pyaj kharab ho jayenga aur usse phekna padhega. isse aam Kisano mein chinta janak maahol ho chuka hai.
Supriya sule jo congress leader hai unhone iss mudde pe Kisano ke baju mein baat rakhi aur kaha ki Nirbandh ya phir niryat shulk par bandi aani chahiye. Jisse aam kisan apna pyaj international market mein bech sake. Unhone ye bhi kaha ki Sarkar agar Grahak ke hit ke bare mein soch rahi hai tho unhe jo kisan hai unke bare mein bhi sochna chahiye. dono mein santulan rakhna bahut jaroori hai. sarkar ek ko andekha nahi kar sakti hai. Jaisa sarkar ne Grahak ko bare mein socha vaise Kisano ke bare mein soche aur niryat shulk par bandi layi jaye. Supriya sule ne ye maang rakhi hai apne twitter ke jariye.
Raju sheety jo Swabhimani Shetkari sanghatna ke adhyksha hai unhone kaha ki 40% niryat tax lagaya hai wo aam kisano ka mazak banane ke liye hai kya. Abhi jab kisano ko accha paisa milne jaa raha tha tab ye niryat shulk kyu lagu kar rahe hai. Mandi ya phir lockdown ke time par sarkar ne Kisano ke hit mein aisa koi faisla nahi liya. Tomato jab bechna tha tabhi sarkar ne aam kisano ke sath yahi kiya. Ye Pyaj ke kisano ke neeche zhukane ke liye kiya jaa raha hai. Jab khad ke bhav badhe the tabhi sarkar ne koi action nahi liye, tho sirf kisan ke sath hi aisa kyu kar rahi hai sarkar.
Chagan Bhujbal ne kaha ki Niryat shulk lagane se bharat ka pyaj ka niryat kam ho jayega aur iska nuksan bhartiya Kisano ko zhelna padhega. We aaj ki baithak mein mukhya mantri ji se isske bare mein charcha karenge. Asha hai ki kuch accha news mil jaye.
Maharastra Vidhansabha mein NCP ke Neta sir par pyaj ki tokari leke aaye the. aur bahut sare NCP ke karyakarta sir par tokri leke vidhansabha pahuch gaye. NCP ne bhi Niryat shulk ka virodh kiya aur kisano ko uchit mulya dene ke liye andholan kiya. Lasalgaon mein bhi Pyaj ki price ki giravat kisan bahut naraj hai aur unhone jo nilami chal rahi thi use rok diya.
Pyaj ek utpadako ke ek pratinidhi ne kaha ki sarkar ko prati quintal 1500 rs. ka anudan dena chahiye kisano ko. Unhone Pyaj ki upaj ko 15 se 20 rs prati kilo mein kharid ne ki maang ki. Kisano ne kaha ki unki maang poori nahi hui tho APMC mein nimani nahi hone denge.
Sach mein kisan bahut muskil halat se gujar rahe hai, ek taraf seema sulk tax aur ek taraf pyaj ke girate bhav. Kya sarkar Kisano ki muh manga anudan degi ya phir seema sulk lagakar unhe aur pareshan karegi.Aap ko kya lagta hai humein comment karke bataiye.
Aur Nayi Jankari ke liye links pe Click karein.