The Renaming of Bandra Worli Sea Link- Veer Savarkar Setu

The Renaming of Bandra Worli Sea Link- Veer Savarkar Setu




Hi Dosto, Aaj mein aapko kuch trending news batane wala hu. Jaise ki aap logo ne bahut baar bandra mein stit bandra worli sea link ko visit kiya hoga. Lekin ky aap jante hai ki uss sea link ka naam kya hai ?

Tho chalo mai batata hu. Government records ke according usse Rajiv Gandhi Sea link ke naam se janate hai. Ye sea link 5.6 KM jitna lamba aur 8 lane wala sea link hai.


Sea Link ke rochak tathya 

Bandra worli sea link ka udhghtan 30 Jun 2009 ko Congress chief soniya Gandi ne kiya tha. Aur kya ya aap Janate hai ki Sea link ko Maharatra state Road Devlopment Corporation (MSRDC) ne 1600Cr. mein banaya gaya tha aur iss contruction ko pura karne ke liye 10 saal se bhi jyada ka time laga hai. Ye India ka first 8 lane road hai. Iss bridge ko bade hi alishan cable ropway se joda gaya hai jo raat ke lighting mein aur bhi khusurat dikhta hai.

Iss Sea link ka nirman Hindustan Construction company ne kiya hai. Iss Bridge ka weight 56000 African hatiyon ke barar hai aur kam se kam ismein 90,000 ton jitna cement use hua hai. Ye sea link Bhukamp ko aasani se sehan kar sakti hai, News ke anusar ye bridge rictor scale par 7.0 ki tivrata sehan karne ke kshamata rakhta hai.

Ye Bridge mein bahut sara loha use hua hai. Ye bridge Cables pe tika hua hai. Iss bridge ke liye jitni cables ka upyog hua hai usse ek sath karle tho pure Prithvi ka ek chakkar ho jayega itni lambi cables hai ye. Ye cable itni majboot hai ki asani se 1000 ton tak ka weight sehan kar sakti hai.

Aap iss bridge par chal nahi sakte aur bike bhi allow nahi hai. Lekin sham ke time mein aap dur se iss adhbhut construction ka anubhav le sakte hai. Ise dekhne ke liye aap ke paas 2 vikalp hai pahile aap Worli sea phase se dekh sakte ho ya phir aap Bandra bandstand se iska nazara dekh sakte ho.





Sea link isse kyu kaha jata hai ?

Sea Link ek link hai jo 2 jagah ko jod deti hai. and ye rasta samudra mein se jata hai isiliye isse sea link kehte hai. Ab ye bridge Bandra aur worli jo dakshin mumbai mein hai usse jod deti hai tho isliye isse bandra worli sea link kaha jata hai. Government ke mutabik ye india ka 4th logest bridge hai. ye sea link logo ke liye 30 june 2009 se chalu kiya gaya tha aur 8th lane 24 March 2010 ko chalu kiya gaya tha.

Kitna Toll Hoga iska ?

Iss Seal link ka use karke aap 15 - 20 min mein dakshin Mumbai jaa sakte ho. halaki aap iska use na karein tho aapko 1.5 - 2 ghante lag jayenge worli pahuch ne ke liye. tho sidhi si baat hai ki aap iss bridge ka istemaal karte ho tho aap ko toll dena hoga. Aur toll chart neeche diya gaya hai jo 1st April 2021 se lagu kiya hai.



Toll Kyu Liya jata hai ?

Toll jama karne ka upyog public ko hi hota hai, Jaise toll mein jama ki gayi rashi uss state ko aur bhi behter banane ke kaam mein aati hai. Jaise ki naye rods, sea links, construction aur bahut sari chize jisse connectivity mein koi bhi problem naa aye aur aam public ko jo kuch bhi chahiye wo jaldi mil Jaye.


The Renaming of Bandra Worli Sea Link

Ab Nayi news chal rahi hai aur jo ki trending mein hai, iss sea link ka naam Manniy Mohadaya Maharastra Mukhyamantri Eknath Shinde Ji ne Veer Savarkar Setu ye naam ghosit kiya hai. Isse Marthi logo mein ustah bhara mahol hai.

Veer Savarkar Ka Janamdin 28 May 1883 hai, tho isilye 28th may ko Savarkar Ji aadaranjali dene ke liye Eknath Shinde ji ne issi din ko chuna Namkaran ke liye.

Eknath Ji ne iske alwa aur bhi 3 Jagh ke naam apne kary kaal mein change kiye hai jaise ki Ahmadnagr ka naam unhone Rani Ahilya devi holkar ke naam se Ahilya nagar kar diya aur we waha ke hi rahine wale thi. dusara naam unhone Aurangabaad ko hata kar Chatrapati Shivaji Maharaj Ke bete Chatrpati Sambhi Maharaj ke naam se rakha Chatrapati Sambhaji Nagar. 3ra unhone Usmanbaad ka naam badalkar Dharashiv Kar diya.

Jab Sea link ka naam change hua tab Congress ne apni Rajya sarkar par hamla bol diya kyu ki sea link ka naam Congress ke Great politician Mr. Rajiv Gandhi ke naam se tha. Aur mai batana chahunga ki Rajiv Gandhi jo hai wo 6 baar Prime minister reh chuke hai. Congress ne kaha ki Rajya sarkar har baar apne asli muddho ko chupane ke liye naam change kar rahi  hai.

Veer Savarkar History



Veer Savarkar ka pura naam VInayak Damodar Savarkar. Unka Janam Bhagal (Nasik) Mein 28th may 1883 ko hua tha. Ye ek indian politician the aur inhone apni poori jindgi bharat ko swatra banae ke lagi di. Aur isliye angrezon ne inhe Kala pani ki shiksha sunai. 

Veer Savarkar ki mirtyu 26 Feb 1966 mein hui thi. Unke nidhan ka karan aaj tak nahi pata chala. Jankari ke mutabik unke maut upwas ke karan hui thi matlab unhone 1 mahie se khana pani sab band kar diya tha.

Veer savarkar Jab Kala pani ki shikha bhog rahe the tab unhone " The Great Indian War of Independence 1857" Kitab likhi thi. We Congress ke kattar alochak the. unhone 1942 ko Bharat chodo andolan bhi start kiya tha.

Unhe kala pani ki saja kyu di gayi ye shayad bahut kam log jante rehange lekin mai aapko batana chahunga unke book ke mutabik Nasik mein ek collector the jinka naam Jackson tha. Jackson ke maut mein Veer Savarkar ka haat hone ne se 7th April 1911 ko unhe ye shiksha sunai gayi thi.

wo ek great leader the isliye unhe Veer ke naam se sambhodit kiya jata hai. 

Tho Jaroor Visit kijiye Veer Savarkar setu ko aur comments mein aap ka experience share karein.


Aur Nayi Jankari ke liye links pe Click karein.

Jan Soochna
Government Jobs
Health
Krishi Vibhag
News
Education
Download


 

Previous Post Next Post