Dengue Rog Mein Aapko Kya Khana Chahiye aur Kya Nahi - Salah aur Tips
Hi Dosto, Aap ko pata hi hoga ki Aaj kal Mausam bahut kharab chal Raha hai barish ki vajah se. Aur Sardi, khasi, bhukhar jaisi bimariya common sabko ho Rahi hai. Ye sari bimariya pratamik taur per thik ki jaa sakti hai lekin ye aur badh Jaye tho bahut taklif ho jati hai. Jaise ki sardi jyada badh gayi tho nimoniya, khasi jyada badhi tho throttle issues aur bukhar jyada badha tho bahut sari problem ho sakti hai jaise Dengue. Aaj kal Dengue jaisa fever bahut viral ho raha hai.
Dengue hota kaise hai ?
Dengue ek aam bimari hai lekin bahut taklif Dene wali bhi hai. Ismein Jaan ka khatra bhi hota hai, kahi logo ki Jaan bhi gayi hai. Tho ye hota kaise hai, dengue viral or sankramit mosquito ke katne se hota hai. Adhi se jyada janta iss bimari se pidit hai. Aap ke jankari ke liye bata du, ki ye ek dusare ke sampark se paas hone wali bimari nahi hai.
Dengue Konse mosquito ke katne se hota hai ?
Aedes aegypti ye ek prajati hai mosquito mein, jiske katne ke baad aam logo mein dengue fail jata hai. Aur ye mosquito madi hai. ye mosquito jab katate hai tab insaan ka khun chus lete hai aur sankramit hone ke karan ye mosquitos hame dengue jaisi bimari de jate hai.
Dengue hua hai kaise pata chalega ?
- Agar aap ko bahut jyada fever hai aur 4-8 din tak wo fever nahi Jaa Raha hai. Tho turut apne doctor se baat karke reports nikale aur pata kare ki hua kya hai
- Lekin aap ke jankari ke liye maine neeche kuch symptoms diye hai, uss tarah ki taklif agar aap ho Rahi hai tho samjh Lena ki aap ko dengue ho gaya hai.
- Bahut jyada bukhar Jo ki 105 degree Fahrenheit Tak Jaa sakta hai
- Ji machalna or ulti hona
- Maaspeshiya aur jodo mein dard
- Sir dard aur aankhon ke gehre hisse mein dard
- Khun behna kahi se bhi, jara sa khujaye tho khun aaya, daat ki masudo mein se ya phir naak se khun nikalna.
- Saas lene ki pareshani, chest mein dard
- Haat aur pair ki skin ka rang change ho jana
Ye sare symptoms agar aap ko dikhai dete hai tho aap jaroor doctor ko dikhaye aur turant ilaz shuru karein.
Dengue patient ke liye Diet plan
- Subh uthne ke baad garam Pani le aur uss mein jeera powder daal ke pi le.
- Nasta ekdam halaka phulka karein, jaise ki Ghar mein banayi idali, dosha, upma etc.
- 11 baje aap koi bhi ek fruit jaise ki apple, dragon fruit, nimbu pani, santra kha sakte hai.
- Duphar ka khana - Agar aap ko cough ki taklif nahi ho Rahi hai tho aap dahi chawal ya phir daal rice kha sakte ho. Kam tikha aur kam oil mein banayi gayi sabji aap kha sakte ho. Aur sabse jyada gunkari hai ki sabjiyon ka Jo Pani hota hai usmein nimbu daal ke piyo. Ek katori dahi ya phir chass.
- Sham ko 4 baje - chiken soup lekin usmein Meera powder aur sunth jaroor daale. Thoda garam hi piye thoda aaram mil jayega. Meera powder aur sunth soup pakate hue nahi daale kyu ki wo jyada tikha lagela isiliye baad mein daale.
- Raat ko sone se pahile - sone se pahile aap haldi wala dudh jaroor piye lekin dhyan rakhe ki haldi ubalte hue duh mein nahi daale kyu ki uski poshak tattv kam ho Jaye hai. Isliye dudh ko ubale, glass mein le phir haldi ka upyog karein.
Ye Jo diet plan hai wo normal dengue ke patients ke liye hai. Jisse bhi diabetes, kidney problems ya phir blood pressure ki taklif hai unke liye ye diet plan nahi hai.
Patients ke liye soup Jo hai roj Ghar par banaye. Bahar market mein instant soup banane ke powder mil jate hai tho usse use na kare. Thodi mehnat karein aur Ghar par fresh soup banaye aur piye. Bazaar ke powder soup mein poshak tattv ki Kami aur preservatives matlab chemicals bhi add hote hai jo aap ke sehat ke liye accha nahi hai.
World Health Organization (WHO) ne kaha ki kaise Prevent aur Control karna hai.
- Aise kapde pehane jo aapki puri body ko cover kare jisse mosquitos nahi katenge.
- Hamesha sote samay aap mosquito net ka use karein aur ho sake to market mein mosquito repellent creams aati hai usse bhi use karein.
- Apni ghar ki window par ek pardarshi screen laga dijiye, jisse aapke ghar mein mosquitos nahi aa paye.
- Ghar mein mosquito coils and vaporizers ka use karein, jisse ghar mein aaye hue mosquitos mar jayenge.
Agar aapko Dengue hua hai, tho ye importan hai :
- Poori tarah se aaram karein.
- Apne sevan mein jyad karke pani ke padartho ka use karein jaise ki Pani, soup, Juices etc.
- Paracetamol use karein agar aapko jyada hi dard ho raha hai tho.
- non steroidal aur anti inflammatory medicine ka use nahi karein jaise ki ibuprofen aur Aspirin.
- Agar aapko jyada hi pain aur Pratikark shakti kam hone ka anubhav ho raha hai tho jald se jald apne nazdik ke doctor ko dikhaye.
Maharashtra Government
Halaki Maharastra government bhi bhaut jya chintit hai Dengue ko leke. Isiliye unhone apne kuch aam public ko leke kuch sandesh diye hai jisse log shikshit ho aur uchit kadam utha paye.
- Week mein ek baar tho ghar ka pani badalkar saaf pani bharna chahiye.
- Sare bartan ek baar tho saaf karein.
- Jis bhi bartan mein pani bhara hua hai un sare bartan ko acche se dakh ke rahiye.
- Apne aas paas ka parisar acche se saaf sutra rakhe.
- Jitna bhi ghar aur apne aas paas jo koi bina kaam ki chiz hai usse turant fek de.
Aur Nayi Jankari ke liye links pe Click karein.