Pradhanmantri Matru Vandana Yojana
Dosto, aaj mein aapko Pradhanmantri Matru Vandana Yojana jisse hum short form mein PMMVY kehte hai. Neeche aapko iski poori jankari hum bata rahe hai.
PMMVY yojana sirf mahila varg ke liye jari ki gayi hai. Ismein kaam karne vali mahila ya garbhvati mahila ko aaram , poshan aur jaroorat pe paise dene ke liye banaya gaya hai.
Ab ye yojana sirf Garbhvati mahila ke liye hai aur ve bhi pahile bacche ke liye hi paise diye jate hai.
Ye suvidha ka labh kaise uthaye ?
Aap ke pahile bacche ke liye aap jabhi bhi hospital mein entry karwate hai tho waha ek PMMVY ka form jaroor bhar ke de de. Aur kuch mahine ke baad aap ke account mein PM fund se neeche gayi rashi 3 baar aapke account mein aa jayegi. Lekin dhyan rakhe ki ye yojna sirf pahile bacche ke liye hi hai
Paise kaise aayenge ?
Paise directly aapke bank account mein aayenge. Jabhi bhi aap hospital mein PMMVY ka form bharenge tab aap ko aap ka bank account number poocha jayega. Vaha apni bank details bharke aap is yojna ka labh utha sakte hai.
Pahili amount aapko 1000 Rs. Aayenge jab aap form bhar denge.
Dusari amount aapko 2000 Rs. Aaynge lekin ye tabhi milenge jab aap garbhvati ke 6 mahine comple kar lenge.
Thisari baar bhi aap ko 2000 Rs. Aayenge lekin ye tabhi aayenge jab aap ke bacche ka naam hospital mein panjikrit ho jayega. Aur uss bacche ka tika Karan jaise ki BCG, OPV DPT aur Hepetitis-B chalu ho jayega.
Ye yojana kisi bhi sarkari khetra mein kaam karne Wale mahila ke nahi hogi. Jo pahile se hi rojgar le rahe hai Kendra sarkar se.
Apni sarkar ne mahilaon ke liye itni acchi yojana banayi hai tho jaroor iska labh le.
Aur Jankari aur forms download karne ke liye neeche gaye link pe click karein.
Aapko ye hamara blog accha laga ho tho pls share kare aur ye knowledge sab ke saath baatein.
Aur Nayi Jankari ke liye links pe Click karein.